Monday, 23 June 2014

होठ सी कर भी बोलता हूँ मैं

देख लो मुझको आइना हूँ मैं 
होठ सी कर भी बोलता हूँ मैं 

पूछती रहती हूँ पता ख़ुद से 
एक मुद्दत से लापता हूँ मैं 

आईने में नहीं हूँ मैं मौजूद
अस्ल क़िरदार से जुदा हूँ मैं 

हादसे क्या बुझायेगे मुझको 
एक उम्मीद का दिया हूँ मैं

सच तो ये हैं की इस कहानी में
इब्तिदा तू हैं इन्तेहाँ हूँ मैं

सब मुझे ढूढने से है क़ासिर
इक अजब शहरे_गुमशुदा हूँ मैं

राह मंज़िल की जो दिखाता है
उस मुसाफ़िर का नक्शे_प़ा हूँ मैं

देखने वाले मुझको ग़ौर से देख
अपनी तस्वीर से जुदा हूँ मैं

तूने मक़बूल कर दिया मुझको
दिल से निकली हुई दुआ हूँ मैं

इक ज़रा मान दे दिया उसको
मुझसे कहता है देवता हूँ मैं

पहले इंसान ठीक से बनिए
आप कहते है की ख़ुदा हूँ मैं

लोग कुछ भी कहे 'सिया' लेकिन
मैं समझती हूँ खूब क्या हूँ मैं ...

dekh le mujhko aaina hoon main
hoth see kar bhi bolta hoon main

poochti rahti hoon pata khud se
ek muddat se la pata hoon main

aaine mein nahi hoon main moujood
asl kirdaar se juda hoon main

hadse kya bhujayege mujhko
ek umeed ka diya hoon main

sach to yeh hai ke is kahani mein
ibteda too hai intehaan hoon main

sab mujhe dhudhne se hai qasir
ik ajab shahre gumshuda hoon main

raah manzil ki jo dikhata hai
us musafir ka nakshe _paa hoon main

dekhne wale mujh ko ghour se dekh
apni tasweer se juda hoon main

too ne maqbool kar diya mujh ko
dil se nikli huwi duwa hoon main

ik zara maan de diya usko
mujh se kahta hai dewata hoon main

pahle insaan theek se baniye
aap kahte hain ke khuda hoon main

log kuch bhi kahe siya lekin
main samjhti hoon khoob kya hoon main

No comments:

Post a Comment