Sunday 27 October 2013

मैं हूँ इन्सां मुझे इन्सान नज़र आता है

मुझको हिन्दू न मुसलमान नज़र आता है 
मैं हूँ इन्सां मुझे इन्सान नज़र आता है 

किस क़दर पावँ पसारे हैं हवस ने हरसू 
आज हर शख्स परेशान नज़र आता है 

एक चेहरा भी दिखाई नहीं देता उसको 
आज तो आईना हैरान नज़र आता है 

आज इंसान तो ढूंढे नहीं मिलता मुझको 
जिस तरफ देखिये हैवान नज़र आता है

आपने सच की हिमायत में उठाया है कलम
हाँ मुझे आपका नुकसान नज़र आता है

रूह ए इन्सां भी दिखाई नहीं देती मुझको
शह्र का शह्र बियांबान नज़र आता है

पूछती है ये सिया मेरे सुखन में तुमको
वाकई क्या कोई इमकान नज़र आता है

mujhko hindu n musalmaan nazar aata hai
main hoon insaaN mujhe insaan nazar aata hai

kis qadar pavN pasaare haiN havas ne harsoo
aaj har shakhs pareshan nazar aata hai

ek chehra bhi dikhayi nahiN deta usko
aaj to aaina hairaaN nazar aata hai

aaj insaan to dhundhe nahiN milta mujhko
aaj har aadmi haivaan nazar aata hai

aapne sach ki himayat mein uthaya hai kalam
haan mujhe aapka nuksaan nazar aata hai

rooh e insaaN bhi dikhayi nahiN deti mujhko
shahr shahr biyabaan nazar aata hai

puchti hai ye siya mere sukhan mein tumko
waqyi kya koi imkaan nazar aata hai

siya

No comments:

Post a Comment