Thursday 16 May 2013

इतना हँसी के आँख से आंसू निकल गयी

जब ये सुना हयात के माथे के बल गए 
इतना हँसी के आँख से आंसू निकल गयी 

क्यों कर अमीर ए शहर ने देखा नहीं कभी
कितने ग़रीब पावँ के नीचे कुचल गए

फ़िर रहनुमा ने हमको दिखाए हसीन ख़्वाब
आदत सी पड़ गयी है सो हम फिर बहल गए

आँखे तो क़ैदखाने से बाहर न आ सकी
पर जिंदगी के ख़्वाब अँधेरे में पल गए

मैं जिंदगी के तार मिलाती भी क्या सिया
वो गर्दिशे पड़ी के सभी तार गल गए

jab ye suna hayaat ke mathe ke bal gaye
itna hansi ke aankh ke aansu nikal gaye

kyo kar ameer e shahar ne dekha nahi kabhi
kitne gareeb pavn ke neeche kuchal gaye

fir rahnuma ne humko dikhaye haseen khwaab
aadat si pad gayi hai so hum fir bahal gaye

aankhe to qaidkahne se bahar na aa saki
par zindgi ke khwaab andhere mein pal gaye

main zindgi ke taar milati bhi kya siya
wo gardishe padi ke sabhi taar gal gaye

siya

1 comment: