Thursday 4 October 2012

शहरे _उम्मीद में भी ताज़ा हवा है शायद




ख़ामुशी रक्स में है शोर मचा है शायद 
शहरे _उम्मीद में भी ताज़ा हवा है शायद 

खिंच गयी है मिरे सीने में कोई सर्द लकीर
तेरे कूंचे में बड़ी तेज़ हवा है शायद

धूप के शहर में रहती हूँ तिरी छावं तले
मेरे मौला ये मिरे दिल की दुआ है शायद

सोचती हूँ के किसी रोज़ मुझे मिल जाये
आप के पास मेरे ग़म की दवा है शायद ...

आज फिर उसने ख्यालों में मचा दी हलचल
कब का बिछड़ा वो मुझे आज मिला है शायद

फूल को शाख़ से इक बार जुदा कर के मैं
सोचती रह गयी ये कारे _जफ़ा है शायद

आज तक हमने जला रक्खे हैं आँखों के दिए
उसके आने की भी उम्मीद सिया है शायद

khamushi raqs mein hai shor macha hai shayad
shahre_ummed mein bhi taza hava hai shayad

khich gayi hai mire seene mein koyi sard lakeer
tere qunche mein badi tez hava hai shayad

dhoop ke shahar mein rahti hoon tiri chavn tale
mere maula ye mire dil ki dua hai shayad 

sochti hoon ke kisi roz mujhe mil jaaye
aap ke paas mere gham ki dawa hai shayad


aaj fir usne khyaalon mein macha di halchal
kab ka bichhda wo mujhe aaj mila hai shayad

fool ko shakh se ik baar baar juda kar ke main
sochti rah gayi ye kare_zafa hai shayad

aaj tak humne jala rakkhe hai aankho ke diye
uske aane ki bhi ummed siya hai shayad ..

sochti hoon ke kisi roz mujhe mil jaaye
aap ke paas mere gham ki dawa hai shayad

No comments:

Post a Comment