Friday 20 July 2012

तन्हाईयों में उसको कई बार देख कर

आँखों में मेरी प्यार का इक़रार देख कर 
सरशार वो भी है मुझे सरशार देख कर 

सीखी हैं मैंने उससे बड़ी दिलरुबाइयां 
तन्हाईयों में उसको कई बार देख कर 

दिल में ख़ुशी की लहर न दौड़े तो क्या करे
होठों पे तेरे ज़ाहिरी इनकार देख कर 

वो ख़ुद पिला रहा था मुझे मारिफ़त के जाम
कल मैकदे में मुझको लगातार देख कर

खिलते हुए गुलाब को जी भर के देखिये
भरना हैं ज़िन्दगी में अगर प्यार,देख कर

युसुफ़ का आज कोई ख़रीदार ही नहीं
लौटी हूँ मैं भी मिस्र का बाज़ार देख कर

ख़ुद पर ही ए सिया मेरा क़ाबू नहीं रहा
दुनिया को तेरे ग़म का तलबगार देख कर

aankho mein pyaar ka iqraar dekh kar
sarshar wo bhi hain mujhe sarshar dekh kar

seekhi hai maine usse badi dilrubaaiyaan
tanhaaiyon mein usko kayi baar dekh kar

dil mein khushi ki lahar n daude too kya kare
hotho pe tere zahiri inqaar dekh kar

wo khud pila raha tha mujhe maarifat ke jaam
kal maqde mein mujhko lagataar dekh kar

khilte hue gulaab ko jee bhar ke dekhiye
bharna hai agar zindgi mein pyaar,dekh kar

yusuf ka aaj koyi khreeddaar hi nahi
lauti hoon main bhi misr ka baazaar dekh kar

khud par hi aye siya mera qaabu nahi raha
duniya ko tere gham ka talabgaar dekh kar

No comments:

Post a Comment