Monday 30 April 2012

कुछ न कुछ है जो कहीं टूट गया है मुझ में


उसका ग़म भी जरा पहले से सिवा है मुझ में
दिल के ज़ख्मों का लहू आज रिसा है मुझ में

अब ख़ुशी हो के कोई ग़म हो भले है दोनों
ज़िन्दगी तेरा हर इक रंग जुदा है मुझ में

पहले हर बात पे हँसती थी मैं खुश होती थी
अब ये एहसास कहीं खो सा गया है मुझ में

 वो तमन्ना के खिलौने थे की उम्मीद की डोर
कुछ न कुछ है जो कहीं टूट गया है मुझ में


ढूंढती फिरती थी मैं सारे ज़माने में जिसे
आंख मूंदी तो वहीं आज मिला है मुझ में

मैं तो जब चाहे बना लूँगा निशाना तुझको
इक अनजान शिकारी की सदा है मुझ में

दश्त लगती है मुझे शहर की सारी रौनक़
ये अनासिर भी तरद्दुद में है क्या है मुझ में

जुल्म का क़द न घटा है न घटेगा ए सिया
हाँ मगर हौसला लड़ने का बढ़ा है मुझ में ..

uska gham bhi jara pahle se siva hai mujh mein
dil ka zakhmon ka lahu aaj risa hai mujh mein

ab khushi ho ki koyi gham ho bhale hai dono
zindgi tera har ek rang juda hain mujh mein

pahle har baat pe hasti thi main khush hoti thi
ab ye ehsas kaheen kho sa gaya hain mujh mein

wo tamnna ke khilone the ki umeed ki dor
kuch n kuch hai jo kaheen tut gaya hain mujh mein


dhudhti firti thi main sare zamane mein jise
aankh mondi to waheen aaj mila hai mujh mein

main to jab chahe bana lunga nishana tujhko
ek anzaan shikari ki sada hain mujh mein

dasht lagti hain mujhe shahar ki sari raunaq
ye anasir bhi tarddud mein hai kya hai mujh mein ..{anasir...panchtatv}

zulm ka qad n ghata hai n ghtega aye siya
haan magar housla ladne ka badha hai mujh mein

1 comment:

  1. वो तमन्ना के खिलौने थे की उम्मीद की डोर
    कुछ न कुछ है जो कहीं टूट गया है मुझ में

    dil ko chhoo gai tum Siya....
    "tute aasman mujh pe ya jameen kha jaye mujhe
    mere chehre ki lakeeron me kahi ye jikra na ho"


    जुल्म का क़द न घटा है न घटेगा ए सिया
    हाँ मगर हौसला लड़ने का बढ़ा है मुझ में ..
    HATS OFF SIYA......kash ye hausla har kisi me hota....to julm khud hi jameen doz ho jata.

    ReplyDelete