Saturday 2 March 2013

के जिनको दिलो में समायी नहीं है

मुसीबत से उनको रिहाई नहीं है 
के जिनको दिलो में समायी नहीं है 

मेरा दिल तो है आईने के मुआफ़िक 
किसी की भलाई बुराई नहीं है 

ग़मों के धुवें की इबारत है दिल पर 
उजाले पे कालिख तो आई नहीं है 

बिछड़ के मैं रोती हूँ उसके लिए अब
जभी दोनों आँखों में काई नहीं है

वो बहने किसे बांधने जाए राखी
के जिनका कोई जग में भाई नहीं है

बिछड़ के भी दिल पर हुकूमत है उसकी
रिहाई भी मेरी रिहाई नहीं है

सिया मुझको मंजिल मिलेगी यक़ीनन
भवंर में तो किश्ती भी आई नहीं है

musibat se unko rihaayi nahi hai
ke jinko dilo mein samayi nahi hai

mera dil to hai aaine ke muafiq
kisi ki bhalayi burayi nahi

ghamo ke dhuve'n ki ibarat hai dil par
ujaale pe kaalikh to aayi nahi hai

bichad ke main roti hoon uske liye ab
jabhi dono aankho mein kaai nahi hai

wo bahne kise bandhne jaye raakhi
ke jinka koi jag mein bhai nahi hai

bichhad ke bhi dil par hukumat hai uski
rihayi bhi meri rihayi nahi hai

siya mujhko manzil milegi yaqeeqan
bhavar mein to kishti bhi aai nahi hai ....

siya

No comments:

Post a Comment