Saturday 26 January 2013

समन्दरों से वो वापस न आये घर के लिए


उतर गए थे जो नायाब से गुहर के लिए 
समन्दरों से वो वापस न आये घर के लिए 

ये नेक नेक से आमाल ही बचा रक्खू
 की मैंने कुछ भी बचाया नहीं सफ़र के लिए 

लहू चरागों में भर भर जला रही हूँ मैं
 अभी उजाले की हाजत है मुझको घर के लिए 

तू चाह ले तो ये सहरा अभी बने गुलशन
 तरस रही हूँ मैं कब से तेरी नज़र के लिए 

दुआ ये मांग रही हूँ की इसमें फल आ जाये
 उम्मीदों _यास के इस आखरी शज़र के लिए 

ग़मो की आंच में पकते रहे है सारी उम्र 
वो शेर क़ैद है लफ़्ज़ों में अब असर के लिए 

भटक रही है सिया भी हवस के जंगल में 
बुला लो मुझको मिरे राम उम्र भर के लिए ..

utar gaye the jo naayab se guhar ke liye
 samandaro'n se wo wapas na aaye ghar ke liye 

ye nek nek se aamaal hi bacha rakkhu
 ki maine kuch bhi bachaya nahi safar ke liye 

lahu charago mein bhar bhar jala rahi hoon main
 abhi ujaale ki haajat hai mujhko ghar ke liye 

tu chah le to ye sehra abhi bane gulshan
 taras rahi hoon main kab se teri nazar ke liye 

dua ye mang rahi hoon ki ismein fal aa jaye
ummedo -yaas ke is aakhri shazar ke liye 

ghamo'n ki aanch mein pakte rahe hai sari umar
 wo sher qaid hain lafzo'n mein ab asar ke liye 

bhatak rahi hai siya bhi hawas ke jangal mein
 bula lo mujhko mire ram umr bhar ke liye ..

No comments:

Post a Comment