Saturday 2 July 2016

नाते पाक

नाते पाक
********
दिल मेरा नूरे अक़ीदत से मुनव्वर हो जाय।
नात जब जब मैं पढ़ूँ पाक मेरा दिल हो जाय।
रौशनी इल्म की भर जाय मिरे सीने में,
आप के दर से ये तौफ़ीक़ मयस्सर हो जाय।
आप चाहें तो पहाड़ों को भी कर दें ज़र्रे,
और अगर चाहें तो क़तरा भी समन्दर हो जाय।
रौज़ये पाक मैं देखूँ ये कहाँ मेरा नसीब,
नाम लूँ आपका और क़ल्ब मुनव्वर हो जाय।
मुझको आजाये अक़ीदत में झुकाना सर को
आपकी चश्मे करम मेरा मुक़द्दर हो जाय।
ख़ाक आ जाय मयस्सर जो मदीना की मुझे,
रेत का ज़र्रा मेरे वास्ते गौहर हो जाय।
गर्मिये वक़्त 'सिया' तुझको न छू पायेगी,
मेहरबाँ तुझपे अगर साक़ीये कौसर हो जाय।
"सिया सचदेव"
NAAT E PAAK
Dil mera noor e aqeedat se munnawar ho jaaye
naat jab jab main padhu pak mera dil ho jaaye
Roshni ilm ki bhar jaay meray seenay mein
Aap ke dar se ye taufeeq mayyasar ho jaaye
aap chahe to pahado ke bhi kar den zarre
aur agar chahen to qatra bhi samandar ho jaaye
Roza e paak ko dekhu ye kaha mera naseeb
Naam Loon aapka or Qalab munnawar ho jaye
mujhko aa jaaye aqeedat mein jhukana sar ko
Aap ki chashm e karam mera muqaddar ho jaaye
khaak ho jaay muyassar jo Madinay ki mujhay
Rait ka zrra meray waste gohar ho jaaye
garmiye waqt siya tujh ko na chhu paayegi
mehrbaan tujhpe agar saakiye kausar ho jaaye
siya sachdev